اردو हिंदी
BuDhi kahani | Shaahi Shayari
buDhi kahani

Nazm

BuDhi kahani

Kumar Pashi

;

jannat ki ujli chamkili dhup mein tap kar
main har bar nikhar jata hun

aur dharti par
sone ka ek garm badan le kar aata hun

is dharti ka zarra zarra
mere qadmon ki lazzat ko pahchane hai

chand ke chehre par ye dhabba
mere mazi ka shahid hai

ye buDhi kamzor hawaen
apni aankhen kho baiThi hain

phir bhi mujh ko chhu kar yaad dilati hain kuchh biti baaten
aur kahti hain

tum wo ho jo DheDh qadam mein
sari prithwi, saton sagar

langh gae the