arsha-e-KHak se, main ne hathon mein miTTi bhari
aur hawa mein uchhaali
bahut dur tak KHak uDti gai
der tak main ne be-mani nazzare ko kaenati hawalon se mapa
kabhi tul aur arz mein us ko rakha
ubhre papoTon,
kabhi band aankhon se dekha!
wo socha jo dekha nahin ja saka!
hawa KHak thi ya hawa mein thi KHak!
gard ki muTThiyon se hawa chhan rahi thi
arsha-e-KHak ki god phir bhar rahi thi
aab-e-waqt aasman ki taraf baDhne ki koshishon mein
zamin ke pyale mein girta gaya
koi aahista se buDha hota gaya
sochte sochte
kapkapi si mere honTon ke naqrai daeron mein utarti gai
amar-bel ki tarah hathon se rasha lipaTne laga
rafta rafta simaTne lage arsha-e-KHak par
muntashir gard, mein aur hawa
Nazm
BuDha waqt hamara istiqbaal karta hai
Qasim Yaqub