اردو हिंदी
BuDha | Shaahi Shayari
buDha

Nazm

BuDha

Nida Fazli

;

har man apni kokh se
apna shauhar hi paida karti hai

main bhi jab
apne kandhon par

buDhe malbe ko Dho Dho kar
thak jaunga

apni mahbuba ke
kanware garbh mein

chhup kar so jaunga
har man apni kokh se

apna shauhar hi paida karti hai