main agar shair tha maula to meri ohda-barai kya thi aaKHir
shairi mein mutakaffil tha to ye kaisi na-munasib ehtimali
kya karun main
band kar dun apna bab-e-lafz-o-mani
aur kahf ke ghaar mein jhankun jahan baiThe hue
ashab mabud-e-haqiqi ki ibaadat mein magan hain
aur sag-e-tazi sa chaukidar un ke pas baiThun
wahdat-o-tauhid ka paigham sun kar
wird ki surat use dohraata jaun
puchhta hun
kya meri mashq-e-suKHan tauhid ki azali shanasa
o qarz ke bigtashan ki dai nahin hai
main to rasul-mal sara peshgi hi de chuka hun
qarz ki wapas adai mein
mere alfaz ka sara zaKHira luT chuka hai
sher ko harf-o-nida mein Dhaalna
tasbih-o-tahlil-o-ibaadat se kahan kamtar hai maula
shairi juzwest-az-paighambari kis ne kaha tha
main to itna jaanta hun
meri tamjid-o-parastish lafz ki qiraat mein Dhalti hai
to phir taKHliq ka wazeh amal tasbih ya mala ke mankon ki tarah hai
phir KHayal aata hai shayad main ghalat-amoz hun
jo sher-goi ko ibaadat jaan kar itra raha hun
bu-ali hun jo ghubar-naqa mein gum ho gaya hai

Nazm
Bu-ali andar-ghubar-e-naqa gum
Satyapal Anand