asar anokha hua
jab aastin ka button gir ke kho gaya jaanan
tumhaari yaad ka sina hazar chaak hua
wo ek nur ka dhaga dhyan mein aaya
kasa hua sa koi tar saz ka jaise
laga ke pech kai dil ko bandhne ki ada
gulabi honTon se ho kar guzarne wali Dor
tumhaare danton se kya paT se TuT jati thi
kushada aankhon ke goshon se sar ubalte the
ab aise bansuri pe koi lab nahin rakhta
tumhaari tarah button aur kaun Tankega
bas ek sans ki sui hai zaKHm siti hai
Nazm
Button
Fay Seen Ejaz