ek fusun-kar but-tarash hun main
zindagi ki tawil raaton ko
bar haale ke tesha-e-afkar
but tarashe hain sainkaDon main ne
tere sanche mein Dhaalne ke liye
chand se nor-e-marmarin le kar
tera simin badan tarash liya
mehr se tab-e-atishin le kar
tere rangin labon ka rup diya
le ke tauba ki ambarin sae
teri zulfon ke baal mahkae
ghum kar KHuld ki fazaon mein
sarmadi sarKHushi uTha laya
rang bhar kar teri adaon mein
abadi rahaton ko sharmaya
le ke sima-e-hur ki taqdis
chhin kar main ne qudsiyon ka waqar
zindagi di teri nigahon ko
aur banain teri hasin aankhen
nazar-e-bad kahin na lag jae
main ne taron se chhin len aankhen
phir bhi main tujh se dur dur raha
phir bhi tujh se na mil sakin aankhen
yun to ek kohna but-tarash hun mein
zindagi ki tawil raaton ko
bar haale ke tesha-e-afkar
but-tarashe hain sainkaDon main ne
but-tarashe hain toD Dale hain
Nazm
But-tarash
Sufi Tabassum