burada uD raha hai
tirmare se nachte hain
dida-e-namnak mein
burraq sae rengte hain
rahdari mein
burada uD raha hai
nak ke nathune mein
nalki oxygen ki lagi hai
gosha-e-lab ral se luthDa hai
hichki si bandhi hai
ek ghashi hai
mera hazir mere ghaeb se juda hai
kya bataun majra kya hai!
zamanon qabl hum donon ka rasta
poTli mein man ke hathon ka paka khana
kitaben aur basta ek the
kaDiyon ke raKHnon mein
hamare sath chiDiyan
raat din bisram karti thin
hamari mushtarak chahkar thi
darzi se kapDe ek jaise sil ke aate
ek se jute pahante
bunda-bandi mein ikaTThe hi nahate
hum jidhar jate hamesha sath jate
raat jab Dhalti
to sunte the kahani
sehn mein rakkhe hue maTke ka pani
peD ki chhatri
sitaron se muzayyan aasman
hanDi ki KHushbu
aur waridon ka lahu
al-muKHtasar KHwabon ki duniya ek thi
ek dusre ka hazir o ghaeb the
hum juDwan the
aaza o anasir mein dui napaid thi
sine se sina
dil se dil
mathe se matha munsalik tha!
kya bataun
kis tarah bijli lapak kar tar se nikli
kinare apna dariya chhoD kar ruKHsat hue
takle ka dhaga kis tarah TuTa
sirhane KHwab jo rakkhe the
kab badle gae
zina kidhar ko muD gaya
wo kaun sa saman tha
jis ke phenkne par
dil to raazi tha
magar jis ke uThane se kamar dukhti na thi
kis dard ki parchhain thi
jo mazhar o shai se nikalna chahti thi
dhund jo diwar ke donon taraf thi
us ka qissa kya sunaun!
kya bataun
waqt ne jab taKHta-e-ahan pe rakh kar
tez-rau aara chalaya tha
hamein TukDon mein kaTa tha
usi din se burada uD raha hai
peD ke sukhe tane se
chhat ki kaDiyon se
kitabon aur KHwabon se
burada uD raha hai
mera hazir mere ghaeb se juda hai!!
Nazm
Burada uD raha hai
Rafiq Sandelvi