bikhar gae hain sitare ban ke
us ek suraj ke kitne TukDe
har ek TukDa alag jahan hai
sarhad ke bandhan mein aasman hai
zamin ka to wajud kya hai
har ek kun pe KHuda likha hai
har ek KHuda ka hai apna shajra
har ek shajre ki apni duniya
har ek duniya ke apne hisse
har ek hisse ke apne rishte
har ek rishte mein sau diwaren
har ek diwar mein dararen
darar mein hain nae jazire
har ek jazire ke apne wirse
har ek wirse ke gham apne apne
har ek apne ke qisse apne
mahal jo tahzib-o-irtiqa ke mazi pe ban rahe hain
hai un ki buniyaad kitni gahri main un ki gahrai jaanta hun
Nazm
Buniyaaden
Ashok Lal