ku-e-sitam ki KHamushi aabaad kuchh to ho
kuchh to kaho sitam-kasho, fariyaad kuchh to ho
bedad-gar se shikwa-e-bedad kuchh to ho
bolo ki shor-e-hashr ki ijad kuchh to ho
marne chale to satwat-e-qatil ka KHauf kya
itna to ho ki bandhne pae na dast o pa
maqtal mein kuchh to rang jame jashn-e-raqs ka
rangin lahu se panja-e-sayyaad kuchh to ho
KHun par gawah daman-e-jallad kuchh to ho
jab KHun-baha talab karen buniyaad kuchh to ho
gar tan nahin zaban sahi aazad kuchh to ho
dushnam nala hao-hu fariyaad kuchh to ho
chiKHe hai dard ai dil-e-barbaad kuchh to ho
bolo ki shor-e-hashr ki ijad kuchh to ho
bolo ki roz-e-adl ki buniyaad kuchh to ho
Nazm
Buniyaad kuchh to ho
Faiz Ahmad Faiz