اردو हिंदी
Bulbul o parwana | Shaahi Shayari
bulbul o parwana

Nazm

Bulbul o parwana

Suroor Jahanabadi

;

gira raha hai tera shauq shama par tujh ko
mujhe ye Dar hai na pahunche kahin zarar tujh ko

farogh-e-shola kahan aur farogh-e-husn kahan
hazar haif ki itni nahin KHabar tujh ko

taDap taDap ke jo be-iKHtiyar karta hai
nahin hai aag ke shola se aah Dar tujh ko

ye nanhe nanhe par o baal ye sitam ki tapish
mila hai aah qayamat ka kya jigar tujh ko

qarib shama ke aa kar jo thartharaata hai
nahin hai jaan ke jaane ka gham magar tujh ko

milegi KHak bhi DhunDe na teri mahfil mein
saba uDae phiregi dam-e-sahar tujh ko

samajh na shama ko dil soz aafiyat dushman
jala ke aah rahegi ye musht-e-par tujh ko

nahin hai tu abhi soz-o-gudaz ke qabil
nahin hai ishq ki arz o niyaz ke qabil

tapish ye bazm mein fanus par nahin achchhi
ki aag lag ki o be-KHabar nahin achchhi

kaDi hai aanch mohabbat ki sham-e-mahfil se
lagawTen are tufta-jigar nahin achchhi

taDap taDap ke na diwana-war shama pe gir
tapish ye shauq ki, o musht-e-par nahin achchhi

ye jaan-gudazi-e-soz-e-wafa sar-e-mahfil
kahin na ho tere ji ka zarar nahin achchhi

laDa na shama se aankhen ki hai udu teri
teri nigah-e-mohabbat-asar nahin achchhi

ye nanhe nanhe paron ki taDap ye betabi
Harif-e-shoKHi-e-barq-e-nazar nahin achchhi

ye par sameT ke fanus par tera girna
ye be-KHudi are shorida-sar nahin achchhi

chaman mein chal ki dikhaun bahaar-e-shahid-e-gul
nazar fareb hain naqsh-o-nigar-e-shahid-e-gul

main bul-hawas nahin samjha hai tu ne kya mujh ko
pasand shahid-e-gul ki nahin ada mujh ko

firaqe-e-gul mein main minnta-kash-e-fughan hun daregh
ye dagh-e-soz-e-judai na de KHuda mujh ko

Dil-e-gudaKHta le kar azal se aaya hun
banaya bazm mein hai soz-ashna mujh ko

jale wo bazm mein chup-chap aur main na jalun
baid ishq se hai ho gham-e-fana mujh ko

teri nigah mein jaan-soz hai jo ai bulbul
wo aah aag ka shola hai jaan-faza mujh ko

khula hai tujh pe abhi aah raaz-e-ishq kahan
tu bul-hawas hai, tujhe imtiyaz-e-ishq kahan