jitne unche hain utne hi KHamosh hain
kin pahaDon mein rahna paDa hai mujhe
sare apni baDai ki dhun mein magan
dekhte ja rahe hain magar baat karte nahin
baat karte hain to KHud se aage koi lafz kahte hahin!
apne hi bojh se
meri KHamoshi kuza kamar ho gai to chali
ek baDi KHamushi ki taraf
aur mari nannhi si KHamushi ne kaha
dharti KHamosh hai
ye KHamoshi ka ghunghaT uThae to main is ki sansen ginun
ai qadimi KHamoshi!
jo tu aur main chup ki chadar utaren
to dharti takallum ka malbus pahne
pahaDon se aisi sadaen uThen
jo samundar ke sine mein suraKH kar den
ye kuchli hui KHalq uTThe
to chiKHon se patal hilne lage
mauj-e-nala rawani kare
aur sinon mein sahmi sadaon ki barfon ko pani kare
lafz-e-mamnua phir se chale
soch ki sarzamin par nai tuKHm-kari kare
KHair-o-shar ki hadon par nai had ko jari kare
ai baDi KHamushi! ai
magar KHamushi pahle se baDh kar KHamosh thi!
dil ke ghurfon mein soi sadao!
uTho! sur-e-adam uThao
'sarafil' soya paDa hai
tumhi koi shor-e-qayamat jagao
uTho be-nawao!
tumhi apni miTTi ki dhaDkan mein dhaDkan milao
tumhaare badan par hai tamir jin ki
sadaon ki larzish se
un unche burjon ko mil kar zamin-bos kar do!
kisi ko nahin manti hain
sadaen, koi uncha nicha nahin jaanti hain!
Nazm
Bulandi ki paimaish
Shahzad Nayar