zara Thahro kidhar hum ja rahe hain
udhar us chaar-diwari ke pichhe
wo buDha gorkan chilla raha hai
idhar aao qadam jaldi baDhao
yahan is chaar-diwari ke andar
janam din se tumhaari muntazir hain
wo qabren jin ki peshani pe ab tak
kisi ke nam ka katba nahin hai

Nazm
Bulawa
Makhmoor Saeedi