اردو हिंदी
Bulawa | Shaahi Shayari
bulawa

Nazm

Bulawa

Akhtar-ul-Iman

;

nagar nagar ke des des ke parbat Tile aur bayaban
DhunD rahe hain ab tak mujh ko khel rahe hain mere arman

mere sapne mere aansu in ki chhalni-chhanw mein jaise
dhul mein baiThe khel rahe hon baalak bap se ruThe ruThe!

din ke ujale sanjh ki lali raat ke andhiyare se koi
mujh ko aawazen deta hai aao aao aao aao

meri ruh ki jwala mujh ko phunk rahi hai dhire dhire
meri aag bhaDak uTThi hai koi bujhao koi bujhao

main bhaTka bhaTka phirta hun khoj mein teri jis ne mujh ko
kitni bar pukara lekin DhunD na paya ab tak tujh ko

mere sangi mere sathi tere karan chhuT gae hain
tere karan jag se mere kitne nate TuT gae hain

main hun aisa pat hawa mein peD se jo TuTe aur soche
dharti meri gor hai ya ghar ye nila aakash jo sar par

phaila phaila hai aur is ke suraj chand sitare mil kar
mera dip jala bhi denge ya sab ke sab rup dikha kar

ek ek kar ke kho jaenge jaise mere aansu aksar
palkon par tharra tharra kar tariki mein kho jate hain

jaise baalak mang mang kar nae khilaune so jate hain!