ye mere dil ki pagDanDi pe chalti nazm hai koi
ki sail-e-waqt ki bhaTki hui ek lahr sa lamha
jo aanchal par sitare aur un aankhon mein aansu Tank deta hai
sitaron ki chamak
aur aansuon ki jhilmilahaT mein
kisi ehsas-e-gum-gashta se likha bab hai shayad
koi sailab hai shayad
ya ek be-nam si rasm-e-talluq ka tarasha KHwab hai shayad
jo aankhon mein utarte hi
kabhi chup ki surang aur barf sanson ki laDi mein jhulta hai
aur kabhi bahta hai sach ban kar
lahu ki har rawani mein
nazar se jhankti ek umr jaisi raegani mein
magar
dil ki tahon mein ek KHalish si kasmasati aur kahti hai
ye sach kaisa hai ki
jalte hue dil ko guman tak bhi jo chhanw ka na de pae
ye kaisa sach hai
jis ki tham kar ungli koi raston mein kho jae
Nazm
Bujha rut
Nahid Qamar