umr aur raste kaTte chale gae
abhi abhi sansen sambhali thi
na jaane kab hausle bhi sambhalte chale gae
shuruati ye raste sidhe-saral saf hua karte the
unchai pe baDhte hi pathrile hue kanTon se grast
han kabhi koi jharna mil jata tha
peD bhi chhanw le kar meri madad ko aate the
wo jharne wo chhanw magar sath na chal pate the
waqt tha jo sath chala mere
ek rose wo bhi chala gaya tajarbe ki peTi de kar
ab use bhi uThae chalna hai sambhaale rakhna hai
sanson ki tarah hauslon ki tarah
raste mein milega wo phir se
aur mangega mujh se us peTi mein se kuchh
ya de jaega do chaar aur bhi uThane ko
waqt milta gaya moD aate gae kuchh log bhi
bojh kam hota phir baDh bhi jata
rasto mein bhaTak bhi jata kahin kahin
bojh bhaari hua tha thaki aankhon ka bhi ek bojh tha
buDhape ki choTi ab abhi milon dur thi
par wahan shayad sukun hoga
kahin pahunch jaane ki rahat hogi
chand ki ThanDak mere qarib hogi
us choTi pe pahunch kar
thake hue pairon ko kinare rakh dunga
kyunki wahan se aage ab kuchh na hoga chalne ko
aankh mundne ki mujhe ab ijazat hogi
Nazm
BuDhape ki choTi
darshika wasani