yun guman ho raha hai mere nadim
jaise ab gulsitan mein rang nahin
jaise ab dil mein kuchh umang nahin
aasman badliyon ki zad mein hai
zard-alud hain fazaen bhi
surKH suraj ki kapkapati kiran
chhu rahi hai ufuq ke sae ko
phailti ja rahi hai shab ki lakir
sehn-e-zindan ke chaar-payon par
Dubti meri KHwabida aankhen
dekhti jati hain purane KHwab
guzre ayyam ke adhure KHwab
zindagi se bhare sisakte KHwab
dast-o-bazu hain kitne pazh-murda
nabz-e-hasti hai kitni aahista
ek dil hai ki dhaDke jae hai
jaise girdab ta-safina koi
Nazm
BuDhapa
Razi Raziuddin