اردو हिंदी
Border-line | Shaahi Shayari
border-line

Nazm

Border-line

Zehra Alvi

;

nai naslon ke sachche log
hamari baaton pe hans rahe hain

hamare mulkon ki sarhadon ko
baDi hi hairat se tak rahe hain

wo kah rahe hain
kaise ye ajib log the

jinhon ne naslen ki naslen
lakiron par raged Dalin

jawaniyan laDaiyon mein pasij Dalin
apne KHun bahane wale ye kaise log the

aane wali nai naslen ye jaan lengi
man lengi

ki border ke us taraf bhi aur is taraf
bhi log baste hain

ke jin ke lahu ka rang ek hai
wo surKH hai