ab ye masafat kaise tai ho ai dil tu hi bata
kaTti umr aur ghaTte fasle phir bhi wahi sahra
chait aaya chetawani bheji apna wachan nibha
patjhaD aai patr likhe aa jiwan bit chala
KHushiyon ka mukh chum ke dekha duniya man-bhari
dukh wo sajan kaThor ki jis ko ruh kare sajda
apna paikar apna saya kale kos kaThin
duri ki jab sangat TuTi koi qarib na tha
apne gird ab apne aap mein ghulti soch bhali
kis ke dost aur kaise dushman sab ko dekh liya
kanch ki ek diwar zamana aamne-samne hum
nazron se nazron ka bandhan jism se jism juda
rahen dhaDkin shaKHen kaDkin ek ek Tis aTal
kitni tez chali hai ab ke dhul-bhari hawa
dukhDe kahte lakhon mukhDe kis kis ki suniye
boli to ek ek ki waisi bani sab ki juda
Nazm
Bol anmol
Majeed Amjad