main dukh ka bojh uThae 
ek muddat se chal raha hun 
lagta hai 
kisi bhi waqt meri gardan TuT jaegi 
main sustana chahta hun 
koi mera bojh nahin baTa sakta 
sab ke sar pe 
ek wazni Tokra rakha hua hai 
koi nafrat ke bojh tale daba hua hai 
kisi se mohabbat nahin sambhaali ja rahi 
hum sab mazdur hain 
bojh uThana hamara kaam hai 
hamein 
sustane ki ijazat nahin milti 
bojh uThane ki ujrat 
Tokaron ki tabdili hai
        Nazm
Bojh
mustafa arbab

