hazar sadiyon ke safar ke bawajud 
bint-e-hawwa ka ye safar to 
azal se ab tak 
tumhaari KHwab-gah aur 
dalan ke darmiyan 
qaid kar diya gaya hai 
na jaane kitne qadam hain 
jo tumhaare bistar mein 
hunut ho kar paDe hue hain 
kitni manzilen hain 
jo tumhaare bistar par 
bawarchi-KHane ke darmiyan dafn ho chuki hain
        Nazm
Bistar aur bawarchi
Sarwat Zehra

