اردو हिंदी
Bisleri | Shaahi Shayari
bisleri

Nazm

Bisleri

Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027

;

aadha hindu hun sharab pita hun
aadha musalman

ki suar nahin khata
miyan ghaalib farmate the

'KHayal' sahab aap bhi
hote hote ho gae

shayad
aadhe farangi

haridwar ki chauk par
hari halwai ki dukan mein

desi ghi ki puri sabzi khate the
magar pine ke liye

bisleri hi mangwate the