aah! ganga ye hasin paikar-e-billor tera
teri har mauj-e-rawan jalwa-e-maghrur tera
jaur-e-maghrib se magar dil hai bahut chur tera
jhankta hai tere girdab se nasur tera
zulm Dhae hain safinon ne sitamgaron ke
zaKHm ab tak tere sine pe hain patwaron ke
mahw rahte the sitare teri mai pine mein
chand munh dekhta tha tere hi aaine mein
KHalwat-e-mahr daraKHshan thi tere sine mein
teri tabaniyan aati na thin taKHmine mein
aaj roti hai magar teri jawani tujh ko
kha gaya aa ke yahan 'thames' ka pani tujh ko
aah ai koh-e-himala ke ghurur-e-sayyal
tere daman pe kabhi baiThi na thi gard-e-malal
munh tera ponchhta tha chand ka simin rumal
zaKHm sine pe liye aaj hain dhaare tere
uf kahan Dub gae chand sitare tere
reg-e-dozaKH ko chhupae hai qaba ke andar
haul-nak aaj hai kitna ye dahakta manzar
sham hi sham nazar aati hai kyun sahil par?
kyun teri maujon se chhante nahin anwar-e-sahar?
raushni kyun hui jati hai gurezan tujh se
kyun andheron ke hain lipTe hue tufan tujh se
aaj sahil pe nazar aati hai jalti hui aag
aadamiyyat ka sulagta hai hawaon mein suhag
aaj hai saz-e-siyasat ka bhayanak sa rag
phan uThae hue bal khate hain shoalon ke nag
aaj insan ko Dasti hain hawaen teri
zahr se kitni hain labrez fazaen teri
aai hai thames se ek mauj-e-rawan gati hui
tujh ko aazadi ke paigham se bahlati hui
ruh mai-KHana liye shauq ko bahkati hui
naz karti hui hansti hui iThlati hui
lakh uljha karen zulfon mein ulajhne wale
is ke ishwon ko samajhte hain samajhne wale
lekin ai bint-e-himala teri azmat ki qasam
sail ke sanche mein Dhaali hui rifat ki qasam
tere jalwon ki qasam, teri latafat ki qasam
teri maujon se ubharti hui himmat ki qasam
ab teri aankhon ko namnak na hone denge
daman-e-naz tera chaak na hone denge
Nazm
Bint-e-himala
Parvez Shahidi