bint-e-hawwa hun main ye mera jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
main tamasha nahin apna izhaar hun
soch sakti hun so layaq-dar hun
mera har harf har ek sada jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
mujh mein ehsas kyun ho ki aurat hun main
zindagi kyun lagun? bas zarurat hun main
ye meri aagahi bhi mera jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
mera aanchal jale aur main chup rahun
zulm sahti rahun aur main chup rahun
jaanti hun mera bolna jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
mere jazbe rahen dil ke zindan mein
meri gustaKHiyan aap ki shan mein
aap ka zikr bhi to baDa jurm hai
aur phir shaeri to kaDa jurm hai
Nazm
Bint-e-hawwa
Sarwat Zehra