اردو हिंदी
Bil-jabr | Shaahi Shayari
bil-jabr

Nazm

Bil-jabr

Tabish Kamal

;

har taraf katranen hain
wo guDiya yahin thi magar ab dikhai nahin de rahi

aur ye dhage, yaqinan wo gesu hain jin ke liye meri raaten kaTin
rui dhunki hui hai

kahin KHun ka koi dhabba nahin
ek taraf us ki poshak udhDi paDi hai

udhar us ki aankhen, kaTe abruon se alag,
KHauf-o-dahshat mein luthDi hui

har taraf katranen hain
badan resha resha hai

niche ka dhaD chil kawwe uTha le gae
labon ka lahu jam gaya hai

(lahu jo yaqinan kisi aur ka hai)
gale par kisi gurg ke dant khinche hue hain

wo guDiya nahin hai magar har taraf katranen hain
main aainda guDiya ki KHatir kapas aur dhage nahin launga

katranen le ke apni kisi aur jaanib nikal jaunga