mujhe sameTo
main reza reza bikhar raha hun
na jaane main baDh raha hun
ya apne hi ghubar-e-safar mein har pal utar raha hun
na jaane main ji raha hun
ya apne hi tarashe hue nae raston ki tanhaiyon mein har lahza mar raha hun
main ek patthar sahi magar har sawal ka baz-gasht ban kar jawab dunga
mujhe pukaro mujhe sada do
main ek sahra sahi magar mujh pe ghir ke barso
mujhe mahakne ka walwala do
main ek samundar sahi magar aaftab ki tarah mujh pe chamko
mujhe bulandi ki samt uDne ka hausla do
mujhe na toDo ki main gul-e-tar sahi
magar os ke bajae lahu mein tar hun
mujhe na maro
main zindagi ke jamal aur gahma-gahmiyon ka payambar hun
mujhe bachao ki main zamin hun
karoDon karoDon ki kaenat-e-basit mein sirf main hi hun
jo KHuda ka ghar hun
Nazm
Biswin sadi ka insan
Ahmad Nadeem Qasmi