اردو हिंदी
Bimar ki raat | Shaahi Shayari
bimar ki raat

Nazm

Bimar ki raat

Javed Akhtar

;

dard be-rahm hai
jallad hai dard

dard kuchh kahta nahin
sunta nahin

dard bas hota hai
dard ka mara hua

raunda hua
jism to ab haar gaya

ruh ziddi hai
laDe jati hai

hanpti
kanpti

ghabrai hui
dard ke zor se

tharrai hui
jism se lipTi hai

kahti hai
nahin chhoDungi

maut
chaukhaT pe khaDi hai kab se

sabr se dekh rahi hai us ko
aaj ki raat

na jaane kya ho