main apne bimar dinon mein
ek hi baat kaha karta hun
raat bahut hi gahri kali ho sakti hai
aur main lambi lambi chadar tan ke so sakta hun
suraj andha ho sakta hai
chand sitare sare
sach-much
ek ek kar ke bujh sakte hain
lekin mere andar
jo nanha sa ek diya raushan hai
us ke ujle sae kabhi nahin mar sakte
jag mein ghor andhera kabhi nahin kar sakte
Nazm
Bimar dinon mein
Kumar Pashi