pagal samjha hai kya mujh ko
Dub marun main
aur sab is manzar se apna dil bahlaen
bachchon ko kandhon par le kar
uchak uchak kar mujh ko dekhen
hansi uDaen
lakh meri apni wajhen hon jaan dene ki
lekin phir bhi
dil mein mere bhi hai wo be-mani KHwahish
jate jate sab ki aankhen nam karne ki
meri samajh se
itna haq to hai
jaan dene wale ka duniya walon par
shirkat kar len
wo is pal mein thoDa sa sanjida ho kar
jaan dene aaya hun lekin
ye batla dun
jaan laDa dunga main jaan bachane mein gar
ek tamasha dekhne wale ko bhi hansta dekha KHud par
lauT aaunga
keh deta hun
aisa kuchh bhi agar hua to
bich bhanwar se lauT aaunga
Nazm
Bich bhanwar se lauT aaunga
Shariq Kaifi