mere huon se Daro nahin
ye kaha tha tum ne
jo mar gae
wo zamin ke andar utar gae
in mare huon ki bhaTakti phirti
KHushi ghami ke azab sahti
nahif ruhon se Darna kaisa
kaha tha tum ne
nahin
main Darta nahin hun un se
bhaTakti phirti
zamin ka chakkar lagati ruhon se KHauf kaisa
jo KHud patange ke karb mein mubtala hon un se
kisi ko KHatra nahin hai koi
magar main Darta hun un ke Dhanchon se
jo zamin mein utar gae the
zamin ke paTon mein pis gae the
wo KHushk Dhanche ki aaj aaseb ban gae hain
zamin ke andhe kuen se bahar nikal paDe hain
nahin ye ruhen nahin hain bhai
ye sab dhuen ke kasif halqe hain
bhut hain un mare huon ke
jo sabz dharti ke gard chakkar laga rahe hain
jo garm bojhal muhib sanson
ki parchhaiyon se
zamin ka panDa jala rahe hain
diya zamin ka bujha rahe hain

Nazm
Bhut
Wazir Agha