chalo hum bhi kuchh hath panw hilaen
zamin par utarti hui barf ke sard boson se KHud ko bachaen
nigahon mein wahshat zaban par kaDakte hue bol laen
ghane dam-ba-dam jalte bujhte hue baadalon se guzar kar
sitaron ke jhurmuT ko hathon ki poron se do-nim kar ke baDhen
barf ke ek taDaKHte pighalte jahannam mein utren
siyahi ke yaKH-basta marqad pe aansu bahaen
chaTTanen agar basi sadiyon ki gaDhi ghani gili badbu mein
luthDi paDi hain to kya hai
agar ghas ki lash ko barf ki ek maili razai ne
aangan ko murda daraKHton ki bhubal ne Dhanpa hua hai to kya hai
ki hum rakh ke Dher
girti hui barf ke lajlaje narm gale
kasili si badbu ke bhabke nahin hain
tujhe kya KHabar hum
zamin ki tarah bhuri miTTi ki ek khaal oDhe hue hain
agar hath hum ko mayassar nahin hain to kya hai
chalo apni palkon ke nezon se is bhuri miTTi ki tah ko haTaen
chalo tez shoalon ke dozaKH mein utren
ubalte hue tund lawe ki maujon mein dhuni ramaen
Nazm
Bhuri miTTi ki tah ko haTaen
Wazir Agha