pichhli raat ka chand dikhai deta tha kuchh yun taron mein
jaise koi jaan bujh kar kud raha ho angaron mein
dharti se aakash talak kirnon ka sundar jal bichha tha
raj tha sapnon ka sab jag par chhaya hua ek sannaTa tha
lahron ki munh zor silwaTon mein nadi bas ghol rahi thi
dhime dhime madhur suron mein shayad kuchh bol rahi thi
peD kinare par bhigi parwa se kanp rahe the thar-thar
rah rah kar ek aadh an-dekha panchhi chiKH uThta tha jin par
dur ek parbat ki unchi choTi par ek chhoTi si badli
kya jaane purab ki dhundle manDal mein kya DhunDh rahi thi
aise mein hum donon ek halki si nannhi naw mein baiThe
jhil-mil jhil-mil karte pani ki chhati par tair rahe the
teri ruKH pe pareshan kakul khel khel rahi thi narm hawa se
rup mein tera sundar mukhDa kahin suhana tha chandra se
bijli aisa nur aankhon mein dikhai deta tha kuchh aise
chalte hon do nanhe nanhe dipak kali raat mein jaise
rah rah kar sari ka aanchal kandhe par se Dhalak jata tha
rah rah kar tujh se kuchh kahne ko mera ji lalchata tha
lekin ruk jati thi honTon par jo baat uThti thi man mein
prem ki chiKH lipta alhi thi laj ki an-suljhi uljhan mein
jhum raha tha jagte sapnon ka sansar aankhon mein aise
aur ki moti jhul rahe hon phulon ke jhulon mein jaise
alag alag bechain tha chappu hathon se chhuTa jata tha
aur yun mere sabr ka pyala rah rah kar chhalka jata tha
eka eki tu ne bhari ek ThanDi sans angDai le kar
chup ki thakan se baz aai thi sar ko rakha mere kandhe par
phir kya tha dil aise machla apne aap ko bhul gaya main
zor se tujh ko bhench kar apni bahon mein kuchh bol uTha main
ek mein kya aakash ke tare bhi wo raat nahin bhule hain
jis ko guzre aaj to lag-bhag chaar mahine bit gae hain
ab bhi is ki yaad macha deti hai ek halchal si man mein
aisi raat nahin aati hai palaT kar kyun mere jiwan mein
Nazm
Bhuli bisri raat
Takht Singh