اردو हिंदी
Bhuli-bisri raat | Shaahi Shayari
bhuli-bisri raat

Nazm

Bhuli-bisri raat

Takht Singh

;

pichhli raat ka chand dikhai deta tha kuchh yun taron mein
jaise koi jaan-bujh kar kud raha ho angaron mein

dharti se aakash talak kirnon ka sundar jal bichha tha
raj tha sapnon ka sab jag par chhaya hua ek sannaTa tha

lahron ki munh-zor silwaTon mein naddi bis ghol rahi thi
dhime dhime madhur suron mein shayad wo kuchh bol rahi thi

peD-kinare par bhigi parwa se kanp rahe the thar thar
rah rah kar ik-adh an-dekha panchhi chiKH uThta tha jin par

dur ek parbat ki unchi choTi par ek chhoTi si badli
kya jaane purab ke dhundle manDal mein kya DhunD rahi thi

aise mein hum donon ek halki si nannhi naw mein baiThe
jhilmil jhilmil karte pani ki chhati par tair rahe the

tere ruKH pe pareshan kakul khel rahi thi narm hawa se
rup mein tera sundar mukhDa kahin suhana tha chanda se

bijli aisa nur aankhon mein dikhai deta tha kuchh aise
jalte hun do nanhe nanhe dipak kali raat mein jaise

rah rah kar sari ka aanchal kandhe par se Dhalak jata tha
rah rah kar tujh se kuchh kahne ko mera ji lalchata tha

lekin ruk jati thi honTon par jo baat uThti thi man mein
prem ki chanchalta uljhi thi laj ki an-suljhi uljhan mein

jhum raha tha jagte sapnon ka sansar aankhon mein aise
os ke moti jhul rahe hon phulon ke jhulon mein jaise

ang ang bechain tha mera chappu hathon se chhuTa jata tha
aur yun mere sabr ka pyala rah rah kar chhalka jata tha

eka-eki tu ne bhari ek ThanDi sans angDai le kar
chup ki thakan se baz aai thi sar ko rakha mere kandhe par

par kya tha dil aise machla apne-ap ko bhul gaya main
zor se tujh ko bhench kar apni banhon mein kuchh bol uTha main

ek main kya aakash ke tare bhi wo raat nahin bhule hain
jis ko guzre aaj to lag-bhag chaar mahine bit gae hain

ab bhi us ki yaad macha deti hai ek halchal si man mein
aisi raat nahin aati hai palaT kar kyun mere jiwan mein