اردو हिंदी
Bhul bhaliyan | Shaahi Shayari
bhul bhaliyan

Nazm

Bhul bhaliyan

Takht Singh

;

KHush thi kashti laga kar gale se hamein
ye hamari hum us ke nigah-dar the

hum musafir sawar us mein jitne bhi the
us ki barqi ada ke parastar the

us ko shayad tha malum us se faqat
sipurd-e-tafrih ke hum talabgar the

le gai pal mein un paniyon tak hamein
jo talatum ki lahron se kaf-e-dar the

jangalon se bhari sidhi Dhalwan par
husn roidagi ke fusun zar the

donon jaanib taTon pe safede ke peD
chikni chikni si chhaalon ki diwar the

har tana phab raha tha hare suiT mein
sabz shaKHon ke patte chamakdar the

pure joban par aai hui ghas thi
unche unche zamurrad ke ambar the

jis taraf bhi kahin barf ki oT thi
oT mein surKH phalon ke angar the

sar nikale hue pattharon ke kalas
margh-zaron ke mahlon minar the

meinh ki bundon ke sar ho rahe the qalam
tez jhuT the ya tez talwar the

barq-o-baran ka tufan jawan sa hua
barf ke sath pani rawan sa hua

ye hua to hamein ye guman sa hua
ye manazir thi un ghaDsi jin ki phaban

pur-KHatar se kisi fan ka mear the
ek muhim jo musawwir ka shahkar the

yun to hum bhi musawwir the fankar the
rang-o-alfaz ke kaif mein Dub kar

KHud hi ko DhunDne ke talabgar the
KHud hi girdab the KHud hi manjhdar the

dushman-e-jaan hamare hi afkar the
pech dar pech dil mein giraftar the

hum na is par the hum na us par the