main bhuki nasl hun
mere malul o muzmahil chehra pe
ThanDi chandni ka aks mat DhunDo
mera be-rang-o-bu chehra
jami hai an-ginat faqon ki jis par dhul barson se
zamin ke chand firaunon ko apni KHashmagin nazron se takta hai
mere ajdad bhi
meri tarah bhuke the lekin mujh mein aur un mein
zamin-o-asman ka farq hai shayad
wo apni bhuk ko taqdir ka likkha samajhte the
qanaat un ka takiya tha
tawakkul un ka shewa tha
magar main aisi har jhuTi tasalli ka muKHalif hun
muqaddar ke andheron mein nahin
mera yaqin hai raushni-e-subh-e-farda mein
main bhuki nasl hun
mere labon par nala-o-fariyaad ki lai ke ewaz
ek aag hai
tewar mein ghussa hai
ye wo ghussa hai jis se
mera dushman thartharaata hai
Nazm
Bhuki nasl ka tarana
Owais Ahmad Dauran