ek gali jo kichaD ke manind chaspan hui
honT jo kasa-e-muflisi ban gae
hath jo gardanon par jhapaTne lage
aur chawal ke jab chand dane mile
antaDiyon ka ye aatish-fishan bujh gaya
peT ki bhuk sach-much jahannam ka tanur hai
lekin is bhuk ka kya mudawa karen
jo usulon ke is qaht mein
apne zaKHmon pe KHamosh hai
shaar-e-am par chaTti hai unhen
aur is bhiD mein
kaun hai jo use bhik de
sab bhikari hain koi dayalu nahin
Nazm
Bhuk
Muneebur Rahman