اردو हिंदी
Bhikari | Shaahi Shayari
bhikari

Nazm

Bhikari

Munawwar Rana

;

us ki banai hui har taswir
aKHbaron ki KHabar ban jati hai

us ki har panting ko inamat lalchai hui nazron se dekhte hain
us ke brush se rangon ka rang khil jata hai

wo qudarat ke har nazzare ko
apne rang aur brush se qaid kar leta hai

lekin
us ki biwi ki kokh mein

koi taswir nahin hoti
us ke brush se aangan ki kilkariyan na-waqif hain

shayad is musawwir se
kaenat ka sab se baDa musawwir naraaz hai