اردو हिंदी
Bhiga mausam | Shaahi Shayari
bhiga mausam

Nazm

Bhiga mausam

Khursheed Akbar

;

us ne kaha tha chhoTi si farmaish hai!
main ne kaha tha bholi-bhaali KHwahish hai!

us ne kaha tha ruh mein KHarish hoti hai
main ne kaha tha jismon ki sazish hoti hai

us ne kaha tha baadal kale hote hain
main ne kaha tha bijli gori hoti hai!

is ne kaha tha jab donon Takraate hain!!
main ne kaha tha phir to barish hoti hai!!!!

us ne kaha tha barish mein chhinTe paDte hain
main ne kaha tha kapDe bhi gile hote hain

is ne kaha tha bhigne wala hai mausam
main ne kaha bhag nahin paenge ham!!

sara aalam bhig raha tha barish mein
apne apne zarf mein, apni KHwahish mein

sharabor the hum donon rafta rafta
andar bahar bhig gae jasta jasta

jazbon ka sabun, ehsas ka pani tha
barish ke do bhige tan par

dhup utarne wali thi
dhula dhula fitrat ka sara manzar tha

par phailae
do panchhi be-sudh the

ghaib ki masti mein!!
sunte hain:

phir aag lagi thi basti mein!!!!