اردو हिंदी
BhaTka musafir | Shaahi Shayari
bhaTka musafir

Nazm

BhaTka musafir

Salman Ansari

;

main jab chhoTa tha
apni man se aksar

zid ye karta tha
sunao dopahar mein

tum mujhe koi kahani
koi aisi kahani

jis mein shahzadi ho
tum jaisi

koi aisi kahani
simiya-gar

jis mein shahzada ho
mujh jaisa

wo kahti be-KHabar
malum bhi hai

sunata hai agar
dopahar mein koi kahani

to bechaare musafir
ghar ka rasta bhul jate hain

mein ab bachcha nahin
man bhi nahin

na koi pariyon ki kahani
bas ek KHwabon ki nagri

aur ek bhaTka musafir