mazhab ki talwar bana kar
KHwahishon ke andhe ghoDe par sawar
mere man aangan ko raund Dala
mere bharose ko suli par Tang kar
tum ne dusra byah racha liya
tumhaare sang guzare pal pal ko
main ne apne mas par khaal ki tarah mundh liya tha
tumhaare sath aanchal bandh kar
baba ka aangan par kar ke
tumhaare lae sanche mein
main ne paya tha apna wajud
pyar kya hai ye nahin jaanti
par tumhaare ghar ne baD ke peD si chhanw ki thi mujh par
bachaya tha zamane ke gunahon ke
tiron ki bauchhaD se
is sanche mein rahne ki KHatir
main apne wajud ko kaTti chhanTti tarashti rahi
tumhaare lahu ki bund ko apne mas mein janm diya
aulad bhi hum donon ka bandhan na ban saki
bandhan kya hai ye nahin jaanti
mujhe faqat ek sabaq paDhaya gaya tha
tumhaara ghar meri aaKHiri panah-gah hai
main ne kai bar dekha hai
zamane ki nigahon se sangsar hote
talaq-yafta aurat ko
is liye barish se Dari billi ki tarah
ghar ke ek kone aur tumhaare nam ke istimal par
qanaat kiye baiThi rahi
jannat kya hai jahannam kya hai ye nahin jaanti
magar itna yaqin hai
jannat bharose se baala-tar nahin
aur jahannam saut ke qahqahon se baDh kar giran nahin
tanon aur rahm bhari nazron se baDh kar mushkil
koi pul-siraat nahin
kabhi kabhi sot ka chehra mujhe apna jaisa lagta hai
us ki peshani par bhi
main ne be-e'tibari ki shiknen dekhi hain
jab wo mujhe dekhti hai
KHushi us ke sine mein
hathon mein dabae kabutar ki tarah phaD phaDa uThti hai
main un se laD nahin sakti
un mein tum shamil ho
main tum se laD nahin sakti
mazhab qanun aur samaj tumhaare sath hain
riten rasmen tumhaare hathiyar hain
dil chahta hai ki zindagi ki kitab se
wo bab hi phaD kar phenk dun
jo apne mafad mein tum ne
mere muqaddar mein likkha hai
Nazm
Bharose ka qatl
Ateeya Daud