اردو हिंदी
Bharam | Shaahi Shayari
bharam

Nazm

Bharam

Nasreen Anjum Bhatti

;

saDak saf sidhi hai aur dhup hai
dopahar ka safar

ek akeli saDak pair-tasma-bapa yun chali ja rahi hai
ki jaise chali hi nahin istada hai bas

jaise be sar ke dhaD aur kaTe panw ke aadmi
aadmi tum bhi ho aadmi main bhi hun

aur tum ne bharam rakh liya
tum ne achchha kiya meri aankhon mein jhanka nahin

warna Dar jate tum
gahre pani ke niche bhi pani tha upar bhi pani tha

aur pani mein ek surKH
be-jagah be-wajh khul gaya tha yunhi