اردو हिंदी
Bhagwan krishn ki taswir dekh kar | Shaahi Shayari
bhagwan krishn ki taswir dekh kar

Nazm

Bhagwan krishn ki taswir dekh kar

Kanval M.A

;

mujhe tere tasawwur se KHushi mahsus hoti hai
dil-e-murda mein bhi kuchh zindagi mahsus hoti hai

ye taron ki chamak mein hai na phulon hi ki KHushbu mein
teri taswir mein jo dilkashi mahsus hoti hai

tujhe main aaj tak masruf-e-dars-o-waz pata hun
teri hasti mukammal aagahi mahsus hoti hai

ye kya mumkin nahin tu aa ke KHud ab is ka darman kar
faza-e-dahr mein kuchh barhami mahsus hoti hai

ujala sa ujala hai teri sham-e-hidayat ka
shab-e-tira mein bhi ek raushni mahsus hoti hai

main aaun bhi to kya munh le ke aaun samne tere
KHud apne-ap se sharmindagi mahsus hoti hai

taKHayyul mein tere nazdik jab main KHud ko pata hun
mujhe us waqt ik-tarfa KHushi mahsus hoti hai

tu hi jaane kahan le aai mujh ko aarzu teri
ye manzil ab sarapa be-KHudi mahsus hoti hai

'kanwal' jis waqt kho jata hun main us ke tasawwur mein
mujhe to zindagi hi zindagi mahsus hoti hai