chhuTTi ki ghanTi bajte hi
chappal meri nekar ki jebon mein hoti thi
basta kandhe par phenke
taKHti lahraata bhag nikalta tha
phir ye ghoDe-shoDe mere aage bachche hote the
par mere bachche
ilm ki DugDugi
jahil ke hath aa jae
to baste bhaarti ho jate hain
itne bhaari ho jate hain
chhuTTi ki ghanTi se ghuTne baj uThte hain
phir sar baDh jate hain
qad chhoTe rah jate hain
aur insan ka bachcha ghoDon se Darne lagta hai
Nazm
Bhaari basta
Husain Abid