bhaarat ke ai saputo himmat dikhae jao
duniya ke dil pe apna sikka biThae jao
murda-dili ka jhanDa phenko zamin par tum
zinda-dili ka har-su parcham uDae jao
lao na bhul kar bhi dil mein KHayal-e-pasti
KHush-haali-e-watan ka beDa uThae jao
tan-man miTae jao tum nam-e-qaumiyat par
rah-e-watan mein apni jaanen laDae jao
kam-himmati ka dil se nam-o-nishan miTa do
jurat ka lauh-e-dil par naqsha jamae jao
ai hinduo musalman aapas mein in dinon tum
nafrat ghaTae jao ulfat baDhae jao
'bikram' ki raj-niti 'akbar' ki policy ki
sare jahan ke dil par azmat biThae jao
jis kashmakash ne tum ko hai is qadar miTaya
tum se ho jis qadar tum us ko miTae jao
jin KHana-jangiyon ne ye din tumhein dikhae
ab un ki yaad apne dil mein bhulae jao
be-KHauf gae jao hindostan hamara
aur wande-mataram ke nare lagae jao
jin desh sewakon se hasil hai faiz tum ko
in desh sewakon ki jai jai manae jao
jis mulk ka ho khate din raat aab-o-dana
us malak par saron ki bhenTen chaDhae jao
phansi ka jail ka Dar dil se 'falak' miTa kar
ghairon ke munh pe sachchi baaten sunate jao
Nazm
Bhaarat ke saputon se KHitab
Lal Chand Falak