aaj se bara baras pahle baDa bhai mera
stalingrad ki jangah mein kaam aaya tha
meri man ab bhi liye phirti hai pahlu mein ye gham
jab se ab tak hai wahi tan pe rida-e-matam
aur is dukh se meri aankh ka gosha tar hai
ab meri umr baDe bhai se kuchh baDh kar hai
Nazm
Bhai
Faiz Ahmad Faiz