اردو हिंदी
Bhag-mati | Shaahi Shayari
bhag-mati

Nazm

Bhag-mati

Makhdoom Mohiuddin

;

pyar se aankh bhar aati hai kanwal khilte hain
jab kabhi lab pe tera nam-e-wafa aata hai

dasht ki raat mein baraat yahin se nikli
rag ki rang ki barsat yahin se nikli

inqilabaat ki har baat yahin se nikli
gungunati hui har raat yahin se nikli

dhan ki ghanghor ghaTaen hain na hun ke baadal
sone chandi ke gali-kuche na hiron ke mahal

aaj bhi jism ke ambar hain bazaron mein
KHwaja-e-shahr hai yusuf ke KHaridaron mein

shahr baqi hai mohabbat ka nishan baqi hai
dilbari baqi hai dil-dari-e-jaan baqi hai

sar-e-fahrist nigaran-e-jahan baqi hai
tu nahin hai teri chashm-e-nigaran baqi hai