اردو हिंदी
KHud-faramoshi | Shaahi Shayari
KHud-faramoshi

Nazm

KHud-faramoshi

Sulaiman Areeb

;

chala tha ghar se ki bachche ki fees deni thi
kaha tha biwi ne bech aaun baaliyan us ki

ki ghar ka KHarch chale aur dawa bhi aa jae
sawal ye hai ki kya ilm ne diya ab tak

bajae kal ke agar aaj mar gae to kya
zamin pe kitne masail hain aadmi ke liye

KHayal aaya chalo aaj jab ki zinda hain
chaDha ke aaenge do phul gor-e-madar pe

ki chand mein to kisi man ki qabr kya hogi
na jaane kya hua jab ghar pahunch gaya apne

bataya biwi ne phir aaj pi ke aaya hun