اردو हिंदी
Bebasi | Shaahi Shayari
bebasi

Nazm

Bebasi

Rashid Aazar

;

ye jina kya ye marna kya kuchh bhi to hamare bas mein nahin
ek jal bichha hai KHwahish ka aur dil hai ki phaila jata hai

hum bachne ki jitni koshish karte hain phanste jate hain
ye reg-e-rawan-e-umr hi kuchh aisi hai ki dhanste jate hain

jab ret hamare pairon ke niche se khisakne lagti hai
duniya ki tamanna bujhti hui aankhon mein sisakne lagti hai

har sans ukhaDne se pahle sine mein dahakti jati hai
aur dhire dhire chadar jism-o-jaan ki masakti jati hai

ye jina kya ye marna kya kuchh bhi to hamare bas mein nahin