zamin ghumi
hawa badli
chalo mausam badalta hai
'salim' ab tum pahaDon se utar aao
wo dekho
chiyunTiyon ke par nikal aae
kaise uDti phir rahi hain
aaj shan-e-be-niyazi se
ki jaise mutmain hain
makDiyon ki sarfaraazi se
'salim' ab tum pahaDon se utar aao
tumhaari dur ki aawaz kaise gunj ban kar
palaT aai hai
jaise bastiyon ke
sabhi ghar hue hain
koi hathiyar bhi salim nahin
nukile dant
kanTe
Dank
naKHun
hifazat ke sabhi saman jaise chhin gae hain
tabhi to zalimon se
chand roza aafiyat ki bhik pa kar
KHuda ki god mein be-fikr sote hain
samajhte hain
ki mazlumi ka ye bahrup hi
fiqara-e-qanaat ka badal hai
koi patthar uThae khinch mare
dikhawe ke liye patthar uTha kar chum lenge
ye kis duniya mein baste hain
ye kis ka pas rakhte hain
KHud apni maut ki nazzargi ka zaKHm de kar
darindon ki nigahon se
uluhi raushni ki aas rakhte hain
'salim' ab tum pahaDon se utar aao
tumhaare raaz tum hi jaante ho
sab kuchh jhuT hai ek Dhong hai
hum mein koi
ayyub hai budh hai
husain-ibn-e-ali aur na isa hai
bas itna hai zamir apna kabhi ka bik chuka hai
andhere ki panah-gahon mein
sehr-e-samri se
aaj sab mabhut hain
hath panw zehn sab mafluj hain
sone ka bachhDa bolta hai
Nazm
Be-zamiri
Qazi Saleem