wo ek musafir tha ja chuka hai
bata gaya tha ki be-yaqinon ki bastiyon mein kabhi na rahna
kabhi na rahna ki un pe itne azab utrenge jin ki ginti adad se bahar
wo apne murde tumhaare kandhon pe rakh ke tum ko juda karenge
tum un janazon ko qarya qarya liye phiroge
falak bhi jin se na-ashna hai jinhen zaminen bhi rad karengi
wo kah gaya tha hamesha zillat se dur rahna
ki bad-nasibon ka rizq-e-awwal unhin zaminon se paida hota hai
jin zaminon pe bhuri giddhon ki nochi haDDi ke reze bikhrin
tum apni rae ko istaqamat ki aab dena
jise pahaDon ki KHushk sangin bulandiyon se KHiraj bhejen
ghulam zehnon pe aisi lanat ki rasm rakhna
jo teri naslon phir un ki naslon phir un ki naslon talak bhi jae
tumhein KHabar ho sharif logon ki unchi gardan lachak se aise hi be-KHabar hai
sawad-e-ghurbat mein KHema-gahon ki jaise gaDi hon KHushk choben
kabhi na shane jhuka ke chalna
ki past-qamat tumhaare qadmon se apne qadmon ko joD denge
wahi nahusat tumhein KHarabon ki pasbani ata karegi
sarab-ankhon ke raston se tumhaare gurdon mein ret phenkenge aur sine ko kaT denge
wo kah gaya tha yahi wo illat ke mare wahshi hain jin ki apni zaban nahin hai
ye jhag uDate hain apne jabDon se lajlaje ka to gaDgaDahaT ka shor uThta hai
aur badbu bikherta hai
yahi wo bad-baKHt be-hunar aur be-yaqin hain ki jin ki diyat na KHun-baha hai
so in ki qurbat se dur rahna najat-e-dil ka sabab banega
wo ek musafir tha kah gaya hai
Nazm
Be-yaqin bastiyan
Ali Akbar Natiq