اردو हिंदी
Be-talab | Shaahi Shayari
be-talab

Nazm

Be-talab

Mahmooda Gaziya

;

main KHwahishon se apna hath nahin khinch sakti
jab tak KHwahishen mujh se na khinch jaen

ye kafi hai aur mere liye sab
meri gardan par mere mahbub ka chehra saja do

ya meri ruh ko aazad ho jaane do
ye bhi kafi hai aur mere liye bahut hai

main us ki KHwahish se kuchh kam hun ya zara ziyaada
zahir hai gard mujhe chhupa leti hai

meri ruh mere honTon par hai
uDne ke liye be-tab

kya us ke honT mujhe amn ka sabaq denge?
aur ye bhi mere liye bahut hai